Responsive Advertisement
Responsive Advertisement

Advertisement

Responsive Advertisement

Popular Posts

Popular posts from this blog

Zaroori Nahi Lyrics | Dream Note Official | LastBliss

Dream Note Zaroori Nahi Lyrics:

Zaroori nahi dream note official

Kitni kahaaniya adhuri rahi,
Wo huyi puri nahi,
Yeh zaroori nahi!

Waade kiye the jo,
Adhure sahi,
Khaab huye poore nahii,
Yeh zaroori nahi!

Yeh dil dukhane ke bahane kahine,
Yeh gum ke baare me khajane koi,
Aur hum Diwane toh Diwane hi sahi,
Yeh haqeekat bhi poori nahi!

Yaari mohobbato me doori sahi,
Majboori sahi,
Jee hazoori nahi,
Haan karti hoon main maafi,
Poori sahi,
Wo dil ki choori sahi,
Seena jori nahi!

Jo hum puraane toh puraane hi sahi,
Aur woh siyaane toh siyaane hi sahi,
Je din jo jane toh na aane ko sahi,
Zaroort zaroori nahi!

My Fav Lyrics by Dream Note Official:

Dream Note Zeher Lyrics:

Dil me khalti rhe ek kami,
Puchhe too kahaan rukegi,
Main kahu kabhi naw tu chle sang yeh bhi chli.!

Sang hai aasmaa aur yeh thndi hawa,
Kya yeh rukegi,
Main ruku na ruku inhe chlna jahi pr aise hi,
Aur main hun besabr Mere khawabo ke ghr jala kr aaya hun hr dar!

Hai beasr maine piya zeher,
Hun bhi ja nah agr kaisi kaisi dagr,
Kahaan se aaya hun hr dar,
Hai beasr maine piya zeher..!

Chehre pe laga chehra,
Aur khud ko tu kehta naya,
Lapata hai tu kbse mila na kisi ko jahaan,
Yeh tamaashe haseen jawaan,
Yeh dikhawe ke seen hai jaan ,
Mehfil me lga ke bhi dil hai rha tanha.!

Tu sambhal ke chale ye fislti rhe,
Kya yeh ruke gi,
Jahaan doobe bina tu rha to bta kesi yeh zindagi,
Mushkilo se kahaan khud se haara jahaan kya wo sune gi,
Main kahu kabhi naw tu chle sang yeh bhi chli.!


Aur main hun besabr Mere khawabo ke ghr jala kr aaya hun hr dar!
Hai beasr maine piya zeher,
Hun bhi ja nah agr kaisi kaisi dagr,
Kahaan se aaya hun hr dar,
Hai beasr maine piya zeher..!

Dream Note Kahaani Lyrics:

Kaho toh hum bhi muskurate hain,
"Kahaani" tumhe sunate hain,
Yaqeeen aaye toh naw gham koi,
Ke khul k aaj sab batate hain..!

Hume laga tha ab hume kabhi,
Nah hogo pyaar naw dosti,
Lagaya dil dukaya dil har dafa,
Laga ke phir haseen galti ki.!

Zamaane bhar me sare chor hain,
Faqeer khud ko sab batate hain,
Yeh log roz gham me doob ke,
Khusi ke geet gungunate hain..!

Zamaana chhoro hum kya theek hain,
Zamaane  bhar me hum bhi aate hain,
Tumhari aankhein jo bhi kehti hain,
Wahi aawaj lab sunate hain,
Tumhari roshni me bheeg ke,
Humhare gham bhi muskurate hain..!

Sazayein begunayi ke jagha,
Wafa pe geet likhna chahte hain,
Ki seene me dafan hai kheech jo,
Wo bhar ke phool hona chahte hain,
Ke aaj phir sabrna chahte hain,
Ye baal phir bigdna chahte hain,
Ke dil ko aaagye ho raston,
Ke tumko aaj hum batate hain..!

Kaho toh hum bhi muskurate hain,
"Kahaani" tumhe sunate hain,
Yaqeeen aaye toh naw gham koi,
Ke khul k aaj sab batate hain..!

Waqt ki Baatein lyrics:

Maana Dil Dara Dara Hai
Toota ye zara zara hai
Dil ke is bawandr ko thehar jane do

Hoth ye zara sile hain
Khamoshi ke silsile hain
Raat thodi gehri hai, Sehar aane do

To kya huaa jo tuta aaj sapna yeh tera
To kya huaa jo aaj koi apna na meela
Kabhi to pura hoga ye chaa haton ka ghar
Kabhi to mil hi jayega Tujhko humsafar

Tujh mai na kami koi hai
Bas tera ye din bura hai
Waqt ki ye baate hainn, ise guzar jaane do

To kya hua jo badla wo jo kehta tha yahi
Badal bhi jaye duniya mai rahunga bs whi
Magar jahan zaroorat thi wo raha nahi
Sath ka to chhodo, khayal tak nahi

Jaane do jo Ja chuka hai
Kaun kab kahan ruka hai
Baate ye fizul hain, inhe bhul jaane do

Andheron mai hi rehne ke faisałe kiye
To Roshni mai aake yeh mann kahaan lge
Hai itni baar toota yakeen apno se
To Aitbaar kispe Nazar ye phir kare

Tu muskurana chahe to Darne lagta hai
Kahin nazar teri hi khushi ko naw lge
Kisi pe ana chahe toh kese aaye dil
Ye phir se Tutne ke khayal se Darree
Darree..


Tere janey ke baad lyrics:

Tere Janey ke Baad
Ye jaana maine
Ke mere Dil ka ek hissa
Gaya hai tere sath

Tere Janey ke Baad
Udaasiyon se
Hui hai yaari
Hasi ne chhoda mera sath

Tere Janey ke Baad

Sookhi si lage barsaat
Hawaaon ne bhi chhoda mera sath
Mausam badal gaye
Jaane kidhar gaye
Tere Janey ke Baad

Taare bhi nazar aate nahi
Aur chaand se nahi hoti meri baat
Saare khafaa ho gaye
Jaane kahan kho gaye

Tere Janey ke Baad

Tere Janey ke Baad
Ye jaana maine
Ke mere Dil ka ek hissa
Gaya hai tere sath

Tere Janey ke Baad
Udaasiyon se
Hui hai yaari
Hasi ne chhoda mera sath

Tere Janey ke Baad
Hain Adhoore hue
Mere kal
Mere aaj

Sapno ka mol kya hai lyrics:

Sapno ka mol kya hai?
Koi mujhse puchta hai
Mai hoon chup khada
Kitna kuch kho diya hai
Tab jaake kuch mila hai
Mila chahe thoda sa
Mera safar koi samjha hi nahi
Akele hi raha hoon
Akele hi chala hoon
Har ghadi
 
Aankhon mai kya chhupa hai
Iss dil ne kya kaha hai
Koi sunta hi nahi
Ki maine koshishein hain
Tujhko bhi rokne ki
Tu rukta hi nahi
Toota sahi par dil toh baaki hai
Abhi baaki hai chalna ye raasta
Kuch derr se samjhenge sab yahan
Yaad aayega jo maine tha kaha
 
Kitni shaamein dekha khudko toot’te hue
Kitni raatein guzri jinke suraj na hue
Aur kitne armaan dil ke iss dil me hi rahe
Aur kitne apne rahon me hi mehmaan hue
 
Kal jo aaoge mere paas tum
Mai miloonga aisa hi
Sunaoge qisse meri mulaaqaton ke
Chhupaoge jo kaha tha kabhi
Shikayatein thi yakeenan mujhe
Mai khafa hoon ab nahi
Choti si thi jo kahani meri
Dastaan tum kahoge kabhi
 
Sapno ka mol kya hai
Bas wohi janta hai
Jise manzil hai mili
Aasani se mile
Hai jiski khwahishein
Aisi kismat hi nahi
Mera safar koi samjha hi nahi
Akele hi raha hoon
Akele hi chala hoon
Har ghadi...
 

Kaisi ye jagah hai lyrics:

Kaisi ye jagah hai
Na koi shor na sannata
Na koi aasma hai
Na koi dariya sa 

Aaye hain Chal ke yahan
Badi door se
Kisi aur chhor se  

Kaisi ye jagah hai
Na koi chaukhat na darwaza
Kuch udte panchi hain
Aur behta koi patta sa 

Bas mai Aur tum ho yahan
Ho yahan 

Na koi daud hai
Na koi ilm duniya ka 

Main, main aur Meri ye rooh
ho gaye Ru ba ru
Aake yahan
Mere, mere haalaton ko
Rahat mili aake yahan 

Aur Meri Zindagi
Kho gayi hai kahan ?

Khidkiyan lyrics:

Khidkiyan khol ke rakhna zara
Aayega raasta koi
Ankhein na meechna
jaagna sahi
Roshini raaste mai hogi

Darr tum ko kaisa
Jo mai na hoon wahan
Tumhare hi liye hoon
Ye khat Mai likh raha

Jo padhlo to muskurana Pyaar se yunhi

Bewajah Sochna kya khata hui
Baat ye theek to nahi
Hum Kabhi Arsh pe
Farsh pe Kabhi
Yunhi chalti ye zindagi

Ghum tum ko kaisa
Jo Chup hai ye samaa
Tumhare hi liye hai
Ye geet Likh Raha

Jo sunlo to gungunana Pyaar se yahi.

Tum akele nahi ho
Tum sa kahin hai koi
Mil ke gungunaenge
Geet yahi hum kabhi

loading....

SuMit
INFJ

Related Posts

Post a Comment