Responsive Advertisement
Responsive Advertisement

Advertisement

Responsive Advertisement

Popular Posts

Popular posts from this blog

Usne Kaha Tha lyrics | Bharat Chauhan

“Mohabbat hoon main, kab tak chhupaoge”

Usne Kaha Tha Bharat Chauhan lyrics

Usne Kaha Tha Bharat Chauhan

Usne kaha mere bina jee loge
Mar toh nahin jaoge tum jee loge
Magar kiss tarah batana bhool gayi
Mere aansuon ko jalana bhool gayi

Kya kya na usne kaha
Keh doon toh chhill jaoge
Paeron ko zameen se he sill jaoge
Marne ki wajah se bhi mill jaoge

Diya aas ka hai jala
Kab se mere senae mein
Koi chir ke kajal toh le jaye
Aur uski aankhon pe sajaye
Ke roya hoga bahut
Sun ke meri haalat

Music Video for Bharat Chauhan's Usne Kaha Tha filmed by Micheal Negi

Written & Composed by Bharat Chauhan

“Darakht” shayari by Bharat chauhan :

Mere dil ke darakhton pe
Tumhari mohabbat ke parindey
Aashiyan banaane lagey

Ab phir se inke chehchaney ka shor hoga
Har shaakh, har daali pe inhi ka zor hoga

Aaogi toh yeh kaampegi, jaaogi to yeh kaampngi
Thehrogi jo kuch der shaakhein ye jhukh jaayengi
Magar kab tak

Jab jaadon ki dhoop dastak degi
In shaakhon se pattey toot bichad jayenge
Toh yeh parindey v aashiyaa chod door chale jayenge

Main phir in shaakho k hare hone ka intzaar krunga
Phir tumhare aane ka intzaar karunga

"Tum kehti ho" 🌻 shayari by Bharat chauhan :

Tum kehti ho main dard likhta hoon
Ishq mein jal ke gard likhta hoon
Main toh mohabbat likhta hoon
Naseem-e-sehar mein sohbat likhta hoon

Tum kehti ho mohabbat kyun likhte ho
Mohabbat na likha karo
Ye dard deti hai

Suno yun toh paida hona he maut ki wajah hai
Par hum paida hone ki wajah se marte nahin

Mohabbat ne na kabhi kiski ko dard diya na degi
Dard toh jhoot fareb chhal deta hai aur deta rahega
Log mohabbat karte rhenge phir mohabbat ko hee badnaam krenge

Tum kehti ho main dard likhta hoon
Ishq mein jal ke gard likhta hoon
Main toh mohabbat likhta hoon
Naseem-e-sehar mein sohbat likhta hoon

loading....

SuMit
INFJ

Related Posts

Post a Comment